Home » » Awaam Ki Awaaz…

Awaam Ki Awaaz…


Awaam Ki Awaaz…
Roshan tha joh mulk khushion se kabhi aaj aag se roshan hai
Saare mulk mein chaaya hua jaise maut ka mausam hai
Roshnion ka sheher Karachi aaj khoon mein dooba hai
Unki behes aaj bhi saraiki sooba hai
Siyasat ab bhi zoron se chalrahi hain
Laashon par khade hokar taqreerein chalrahi hain
Altaf bhi chup, Nawaz bhi chup, Asfandyar toh ghayab hee hogaya
Zardari toh mulk ke hee ghair mulki dauray par kaheen khogaya
Gunaah hain inke lekin soolhi par aam aadmi charhe
Inko farq tab pade jab inki jawaan aulaad target killing mein maray
PPP ho, PML ho, ANP ho, ya MQM ho, sab hee ek hain
Election ke baad shaitaan par election ke time par naik hain
Mujhse kehtay hain tareefein likho mulk ki, buraayi na bataao
Kis cheez ki likhoon tareef aakhir yeh bhi toh bataao
Tareef likhoon khoon ki, laashon ki, ya maaon ki ujadti godon ki?
Tareef likhoon bomb dhamaakon ki, ya karvaanay waalon ke ohdon ki?
Tareef likhoon bevaaon ke ansooon ki  ya yateemon ke dukhon ki?
Tareef likhoon bhook se marnay waale ke phatay kafan ki ya roti cheennay waale ke sukhon ki?
Tareef likhoon bheek maangtay bacchon ki ya berozgaar naujawaanon ki?
Ya likhoon tareef aiwaanon mein Mercedes se aanay waale beimaanon ki?
Darindon ko hukumat mein laanay ka yehi inaam hai
Ghaflat ki neend mein sonay waalon ka yehi anjaam hai
Kab tak sehtay rahogay yeh khoon kharaaba, yeh bhook pyaas, aur is zulm o sitam ko
Kab tak roktay rahogay bolnay waali ki zabaan ko aur likhnay waalay ka qalam ko?
Usnay toh kayi mehel banaaliye tumhaara khoon bechkar
Baaqion ne apnay apnay soobay banaaliye lakeerein kheinchkar
Par tum ab bhi shia sunni, pathaan mahaajir ki jung mein lagay rehna
Woh sotay rahenge AC mein par tum bina bijli ke raaton ko jagay rehna
Uske bacche toh aiyyashi kartay rahenge London mein
Tum bas aapas mein larh larh ke charhtay rehna Wagon mein
Tumhaare badle ki gaadiaan uski aulaadon ke paas hain
Baaqi unko milgaya joh uskay qareebi aur khaas hain
Tumhein ghum ke ilaava kya diya is shaitaan ne?
Bas bhaiyyon aur bacchon ki laashein di hain is hevaan ne
Phir kyun kahoon ke Bibi zinda hai, jab awaam mar rahi hai?
Awaam ko bachaanay ke liye aaj Bibi ki party kya kar rahi hai?
Tumhein toh zulm ka lutf lenay ki aadat hochuki hai
Aur usko tumhaare badle dollar khaanay ki aadat hochuki hai
Agar jeena hai ab toh kisi ek ko apni aadat badalni hogi
Ya toh tumhein buzdili chorhni hogi ya usko tumhaari daulat waapis ugalni hogi
Bohot sehliya humnay ab aur nahin sehna
Khamoshi se ab is zulm o sitam mein humein nahin rehna
Bohot khail liya inhon ne humaaray khoon se
Bohot likhli humnay apni taqdeer QAAF, PAY aur NOON se
Ab nahin chahiye in shaitaanon ki hukumat
Ab humein sirf hai apni himmat ki zaroorat
Aao himmat karke nikaljaayen gharon se bahar
Aao ek hee saath nikaljaayen apnay daron se bahar
Aao ab milkar apna haq unsay waapis maanglein
Aao haq naa milnay par unki laashein lamp posts par taanglein
Bohot khoon ki holi khel li inhon ne humaare khoon se
Aao ab jamkar holi khelein hum inkay gande khoon se
Ab hum khud hee hukumat karlengay apnay watan mein
Nahin chahiye humein apni siyasat Dubai ya London mein
Nikaaldo inko inkay mehlon se bahar
Nikaaldo inko inki mehngi gaadion se bahar
Ab waqt aagaya hai apnay kal ka faisla karnay ka
Agar marna hee hai toh waqt hai ab unko maarkar marnay ka
Aao doston badaldein ab apni is tadqeer ho
Aao doston badaldein ab is khooni ki tasveer ko
Ab nahin chahiye humein koi Chowdhry, koi Altaf ya koi Nawaz
Ab awaam ke liye humein sirf chahiye AWAAM KI AWAAZ!
Share this article :

Advertise

 
Support : Creating Website | Johny Template | Mas Template
Copyright © 2013. Daily update Artical & Latest News - All Rights Reserved
Template Created by Creating Website Published by Mas Template
Proudly powered by Blogger